Urdu poetry sms

kabhi palkoon pe Aansoo hain, kabhi labb pe shikyat hai,
~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~
Kiss Qadar Toot-phoot Hai Mujh Main . . . 
Mere Halaat Koi Kyaa Jaany . . . . !
           
**...Samaj Nahi Aati Mohhbbaat Ki Kahani Kya Hai...**
.

Døst
.
**...Sajda Khuda Ko Kar Ke Maangtay Insaan Ko Hain...**
.
           
**...Usay chor doon,Usay bhool jaon,kesi Batein krte ho...**
.
Døst
.
**...Surat to Phir Surat hai Mujhy to Wo Naam b Acha lgta hai...**
.
**...Armaan Bechta Hoon Main Aaala Miyaar k...**
.
.
**...Iss kaarobaar Mein Mera Dil, khud-kafeel Hai...**
.


**...Karta Hoon In Ka Adab, Rakhta Hoon Inhain Seenay Se Laga Kar...**

.
.
**...Ye Dard, Ye Tanhaiyaan, Tohfay Hain Kisi K...**
.
           
**...TU ne bi khud ko mARkz-E-AAlAm SAmjh liya...**
.
.
.
**...LAg hi gAi AAkhir zAmany ki hAwa tUjhy...**
.

**...Majaal_E_tark_E_muhbbat na aik baar hui...**

.
.
**...Khyaal_E_tark_E_muhbbat
To baar baar aya...**
.

**...Pehley raqeeb kam thay, k ek zulm ye huwa...**

.
.
**...Qasid raqeeb ban gya unhain dekhnay k bad...**
.
           ........Ghazal.........
Zara Zara Si Baat Pe Roth Jana Acha Nahi,
Itna Bhi Kisi Ko Stana Acha Nhi,,
Bichar Gay To Bohat Pachtao 
Gay Tum
Yohi Geron Ki Baton Mein Ana Acha Nahi
Yeh Dil To Pehly Hi Tere Ghum Se Chor Hai
Abb Isay Aur Trpana Acha Nahi
Kahin Aisa Na Ho K Tum Akelay Hi Reh Jao
Kisi Ki Mohabat Ko itna Azmana Acha nahi
           


%GHAZAL%

"Jin k humsfar rooth jaya krte hain"
"Wo chain se kab soya krte hain"
"Sunate nai kisi ko dukh apna"
"Bas akale me chup kr roya krte hain"
"Bari khoob adaa hai ye Ehle wafa ki"
"Aankho me nami or honton se muskuraya krte hain"
"Bhale hi hazaron shikwe hon mehbob se"
"Wo bas haal poch le to sb bhol jaya krte hain"
"Bari Ajeeb hai dunya Ehle dard ki,   
"D O S T"
  Tanhai me aksar Mehflon ko sajaya krte hain.
           
           
           
Ab Na Woh Shor Na Woh Shor Machaane Waale
Khaak Se Baith Gaye Khaak Uraane Waale,
Yeh Alag Baat Muyassar Lab-e-Goyaa Na Howa
Dil Mein Woh Dhoom K Sunte Hain Zamaane Waale,
Dil Saa Wehshi kabhi Qaabu Mein Na Aayaa Yaaro
Haar kar Baith Gaye Jaal Bichaane Waale,
Teri Qurbat Mein Guzaare Howe kuch Lamhe Hain
Dil ko Tanhaai kaa Ehasaas Dilaane Waale.
           

Koi kaantaa Chubhaa Nahi Hotaa,

Dil Agar Phool Saa Nahi Hotaa,
kuch To Majbuuriyaan Rahi Hongi
Yoon koi Bewafaa Nahi Hotaa,
Guftagu Un Se Roz Hoti Hai
Muddaton Saamnaa Nahi Hotaa,
Jee Bohut Chahataa Sach Bolen
kiya karen Hosalaa Nahi Hotaa,
Raat kaa Intazaar kon kare
Aaj kal Din Mein kyaa Nahi Hotaa.
           

Shaam-e-Firaaq, Zakhm-e-Jigar Aur Yeh Gazal

Yaaden Tumhari, Deeda-e-Tar Aur Yeh Gazal,
Jee Chahne Laga Hai Karoon Pher Se Tere Naam
Ek Shaam Aur Aik Shair Aur Yeh Gazal.
           
Ek Ek Pathar Jor Kay Maine Jo Deewaar Banai Thi
Jhaanko Us kay Peeche To Ruswaai Hi Ruswaai Thi,
Yoon Lagta Hai Sote Jaagte Auron ka Mohtaaj Hoon
Aankhen Meri Apni Hain Par In Mein Neend Parai Hai,

Dekh Rahe Hain Hayrat Se Sab Neele Paani Ko

Pooche Kon Samundar Se Tujh Mein Kitni Gehraai Hai,
Aaj Howa Maloom Mujhe Is Shaher K Chand Saayon Se
Apni Raah Badalte Rehna Sab Se Bari Danaai Hai,
Tor Gaye Paymaan-e-Wafa Is Dard Mein Kaise Kaise Log
Yeh Mat Soch "Qateel" Kay Bas Ek Yaar Tera Harjaai Hai.
           





 Mujhe Chahe Na Chahe Dil Tera, Tu Mujhko Chah Barhane De

Ek Pagal Paremi Ko Apni Chaahat kay Naghme Gaane De,
Tu Raani Parem Kahaani ki Chup Chaap Kahani Sunti Jaa
Yeh Parem Ki Bani Sunti Jaa, Paremi Ko Geet Sunanae De,
Yeh Chahat Mera Jazba Hai Mere Dil ka Meetha Naghma
In Baaton Se Kiya Kaam Tujhe In Baaton Ko Keh Jaane De,
Tu Door Akeli Baythi Hai Sunkh Sundarta Ki Masti Mein
main Door Bahaa Jaata Hoon parem nadi Mein, Beh Jaane De,
gar Bhoole Se Is Jazbe Ka Tu Geet Jawaabi, Gaa Baythi
Yeh Jaadu Sab Mit Jaayega Is Ko Joban Par Aane De,
Haan jeet Mein Koi Nahi Hai Nasha, Yeh Baat Hai Jeet Se Doori Mein
Jo Raah Raseeli Chalta Hoon Is Raah Par Chalta Jaane De.
           

Mayoos mat hona, ye aik gunah hota hai,

Milta wahi hai jo qismat mai likha hota hai...
Har cheez mile hume, ye zaruri to nahi,
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan mai bhi hota hai.
           

Kaheen Aah Ban Kay Lab Pe Tera Naam Aa Na Jaay,

Tujhe Bewafa Kahoon Main Woh Maqaam Aa Na Jaay,
Zara Zulf Ko Sambhalo Mera Dil Dharak Raha Hai
Koi Aur Tair-e-Dil Tah-e-Daam Aa Na Jaay,
Jise Sun Kay Toot Jaay Mera Aarzu Bhara Dil
Teri Anjuman Se Mujh Ko Woh Piyaam Aa Na Jaay,
Woh Jo Manzilon Pe Laa Kar Kisi Humsafar Ko Looten
Unhi Rahzanu Mein Tera Kaheen Naam Aa Na Jaay,
Isi Fikar Mein Hain Galtaan Yeh Nizaam-e-Zar K Bande
Jo Tamaam Zindgi Hai Woh Nizaam Aa Na Jaay,
Yeh Mah-o-Najoom Hans Lein Mere Aansuon Pe "Jalib"
Mera Mahtaab Jab Tak Lab-e-Baam Aa Na Jaay.
           


Andheri Raat Mein Rehte To Kitna Acha Tha

Hum Apni Zaat Mein Rehte To Kitna Acha Tha,
Dukhun Ne Baant Liya Hai Tumhare Bad Humen
Tumhari Baat Mein Rehte To Kitna Acha Tha
           

           

Har Shay Hai Pur Malaal Bari Tez Dhoop Hai
Har Lab Pe Hai Sawaal Bari Tez Dhoop Hai,
Chakraa K Gir Na Jaaon Main Is Tez Dhoop Mein
Mujh Ko Zara Sambhaal Bari Tez Dhoop Hai,
De Hukm Badilon Ko Khiyabaan Nasheen Hoon
Jaam-o-Sabu Uchaal Bari Tez Dhoop Hai,
Mumkin Hai Abr-e-Rehmat Yazdaan Baras Pare
Zulfon Ki Chaaon Daal Bari Tez Dhoop Hai,
Ab Shaher-e-Arzu Mein Woh Ranaiyaan Kahaan
Hain Gul Kaday Nidhaal Bari Tez Dhoop Hai,
Samjhi Hai Jis Ko Saaya Umeed Aqal-e-Khaam
"Saghar" Ka Hai Khiyaal Bari Tez Dhoop Hai.
           
Mohabbat Thaher Jaati Hai…..!!!
Hum Aksar Yeh Samajhtay Hain
Jisay Hum Piyaar Kartay Hain
Usay Hum Bhool Baithay Hain
Magar Aisa Nahin Hota
Mohabbat Daimi Such Hai
Mohabbat Thaher Jaati Hai !!!
Hamari Baat Kay Andar
Mohabbat Baith Jaati Hai
Hamari Zaat Kay Andar
Magar Yeh Kam Nahin Hoti
Kisi Bhi Dukh Ki Soorat Mein
Kabhi Koi Zaroorat Mein
Kabhi Anjaan Se Gham Mein
Kabhi Lehjay Ki Thandak Mein
Udaasi Ki Zaroorat Mein
Kabhi Baarish Ki Soorat Mein
Hamari Aankh Kay Andar
Kabhi Aab-E-Rawan Ban Kar
Kabhi Qatray Ki Soorat Mein
Bazahir Aisa Lagta Hai
Usay Hum Bhool Baithay Hain
Magar Aisa Nahin Hota
Magar Aisa Nahin Hota….
Yeh Hargiz Kam Nahin Hoti…
MOHABBAT THAHER JAATI HA!!!
           




Dil Mein Jab Teri Lagan Raqs Kiya Karti Thi

Meri Har Sans Mein Khushbu Si Basaa Karti Thi,
Ab To Mehfil Se Bhi Hota Nahi Kuch Elaaj-e-Gham
Pehle To Tanhai Bhi Dukh Baant Liya Karti Thi,
Ab Jo Raqsaan Hai Kai Rang Bhare Chehron Mein
Yehi Matti Kabhi Bekaar Uraa Karti Thi,
Rang K Jaal Hi Milte Hain Jidhar Jaata Hoon
Roshni Yoon Na Mujhe Tang Kiya Karte Thi,
Ab Mujhe Chandni Kuch Bhi To nahi kehti
kabhi Yeh Tere Sandese Bhi Fiya karti THi,
Kis Qadar Piyar Se Yeh Per Bulate The Mujhe
Kis Tarah Chaaon Tera Zikr Kiya Karti Thi.
           

Meri Chahat Hai Woh Meri Anaa Bhi Hai

Mere Khamosh Lehjoon Ki Wo Ek Sadaa Bhi Hai
Rehta Hai Subah-o-Sham Wo Mere Wajood Mai
Meri Awaaz Mera Lehja Meri Adaa Bhi Hai
Daita Hai Muj Ko Zakham Wo Bey Hisaab Magar
Hamdard Bhi Hai Mera Wo Meri Wafa Bhi Hai
Ab Us K Zikar Par Aksar Mai Khamosh Rehta Hoon
Par Mere Mohobat Ki Wo Inteha Bhi Hai
Ajab Kashmakash hai Meri Zindagi Mai
Poojna Usay Bhi Hai Aur Dil Mai Khuda Bhi Hai..
           
Teri har nazar sahara, 
teri har ada ishaara, 
kabhi dil-bari ne loota, 
kabhi be-rukhi ne mara, 
meri zindagi se kheela, 
teri muskurhaton ne, 
kabhi shauq ko ubhara, 
kabhi shauq ko dabaya, 
in tand-o-tez mojon se, 
hum bacha ke lae thay kashti, 
jo kareeb ho chalay tum, 
to sirak gaya kinara???..!
           
x
Magar aey zindagi phr bi , Mujee tujh se muhabat hai,
           
Karle Qabool KHUDAYA Merle Sajdey.....
Aab To Naseeb Mein Mere Ussey Likh Dey......? ?
           

x

Post a Comment

0 Comments